Tammanao se bhari ho zindagi,
Khwahishon se bhari ho har pal, Daaman bhi chota lagne lage,
Itani khushian de Aapko Aanewala har pal


Dosti har chehare ki Muskan hoti hai,
Dosti hi sukh-dukh ki Pehchan hoti hai,
Ruth bhi Gaye Hum to Dil pe Mat lena,
Kyoki Dosti zara si Nadaan Hoti Hai.


Adhura hai Aasma Sitaro ke bina,
Adhura hai Samandar kinaro ke bina,
Adhuri hai Fiza Baharo ke Bina,
Aur Adhuri hai ye Zindgi Aap jaise dosto ke Bina
Manzile Bahut hai,
Afsane bahut hai,
Raah-E-Zindgi me Imtihan Aane Bahut hai,
Na karo Gila uska Jo Mila nahi
Is Zindagi me khush Rehne ke Bahane Bahut hai.

Dhire Dhire Umar kat Jati Hai,
Zindagi Yadon Ki Kitab Ban Jati Hai,
Kabhi Kisi Ki Yaad Bahut Tadpati Hai,
Aur Kabhi Yaadon Ke Sahare Zindagi Kat Jati Hai.

Mere Dil Ki Kahani Ye Bayan Karti Hai,
Mohabbat Ashiqo ko sirf badnaam karti Hai,
Is badnami ke Bawjood jo Mohabbat Karte hai,
Unhe Marne ke Bad Duniya Salam karti hai.