Showing posts with label Hindi Sms. Show all posts
Showing posts with label Hindi Sms. Show all posts

Valentine Day Hindi, Marathi And English Sms Collection

Love isn't a decision, it's a feeling.
If we could decide who to love,
then, life would be much simpler,
but then less magical.


Kabhi Ajnabee Se Milay The,
Fir Yhonhi Miltay Chale Gaye,
Hun To Aapko Dost Bananewale The
Magar
Aap To Hamare Dil Ki Dhadkan
Banthe Chale Gaye.
Happy Valentine's Day….
Jab samne hote ho tum ..
Na jane kyo hosh kho baith the hai
hum..
Milti hai nazar jab jab tumse..
Sab kuc bhul jate hai hum..
Hoti hai tu itne kareeb..
Phir bhi dil ki baat kehne se ruk
jate hum…
दाटून आलेल्या संध्याकाळी,
अवचित ऊन पडतं.....
तसंच काहीसं पाऊल न वाजवता,
आपल्या आयुष्यात प्रेम येतं !
Happy Valentine's Day!
पाहशील जिथे जिथे नजर उचलून...
मीच असेल उभा ओठांवर स्मित
घेऊन :)
आलेत कधी जर तुझ्या डोळ्यात दुखांचे
अश्रू....
तुला सुखाचे आनंदाश्रू तिथे तिथे
देऊन.......!!!
Happy Valentine's Day!
डोळ्यातल्या स्वप्नाला...
कधी प्रत्यक्षातही आण !
किती प्रेम करतो तुझ्यावर,
हे न सांगताही जाण !!! :-)
Happy Valentine's Day!!!

Jan Ke Anjaan Ban’na Achcha Lagta Hai

Jan Ke Anjaan Ban'na Achcha Lagta Hai,
Uss Ko Apne Liye Pareshan Karna Achcha Lagta Hai,
Wo Karty Rahe Pyar Ka Iqraar Bar-Bar,
Mujh Ko Naadan BanKar Sun'na Achcha Lagta Hai!!!

Aa Teri Umar Mai Likh Du

Aa Teri Umar Mai Likh Du Chand Sitarose,
Tera Janamdin Mai Manau Phulose Baharose,
Har Ek Khubsurti Duniya Se Mai Le Aau,
Sajaau Ye Mehfil Mai Har Haseen Nazarose...
Happy Birthday Dear

Wo Aisi Ho...



Na Wo Pari Ho Na Pari Jaisi Ho,
Muze Talash Hai Uski Jo Mere Jaisi Ho,

Mere Khaluoso Ko Pehchane Kafi Hai,
Wo Koi Bhi Ho, Kahi Bhi Ho, Kaisi Bhi Ho,

Jo Khwab Dene Bechain Ho Meri Aankho Ko,
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sakey Wo
Aisi Ho,

Meri Khatir Marne Ka Hausla Bhi Rakhti Ho,
Agar Kabhi Ruth Jau Mai Us Se To
Muskura Ke Manaye Wo Aisi Ho,

Jo Baat Kare To Wo Nibha Bhi Sake
Iraado Me Wo Apne Chahato Jaisi Ho,

Gamm Me Hansane Ka Hunar Janti Ho
Ek Aisi Humsafer Jo Samander Se Bhi Gehri Ho...

Tu Na Jane Ki Kaun Hai Tu




Phulo Ke Gulistaan Ka Sartaaj Hai Tu,
Honge Gulshan Me Gul Hazaar
In Gulo Ka Gulaab Hai Tu,
Tu Na Jane Ki Kaun Hai Tu,

Sangeet Jaisi Aawaz Ka Sur-taal Hai Tu,
Hoti Hai Jab Amaawas Ki Raat To,
Ugte Huye Suraj Ka Ehsaas Hai Tu,
Tu Na Jane Kaun Hai Tu,

Udasi Bhare Chehro Ki Mushkan Hai Tu,
Hote Hai Jab Gamm Ke Badal Aasman Me
Un Baadlo Ke Beech Se Nikalta Hua Chand Hai Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Oss Ki Bundo Jaisi Taazgi Ka Ehsaas Hai Tu,
Aati Hai Jab Mere Hoto Pe Udasi Ki Aahat,
Hasta Hu Fir Bhi Us Hasi Ka Raaz Hai Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Dhadkate Dilo Ki Bechaini Ka Naam Hai Tu,
Tanhai Me Jab Band Hoti Hai Palke Meri,
Behte Huye Ashko Ka Sailaab Hai Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Mahekti Hui Garm Saanso Ka Gumaan Hai Tu,
Tadapta Raha Pane Ki Chahat Me Jisko Umar Bhar,
Wo Reshmi Khwaabo Ka Gunahgaar Hai Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Dil Ko Jo Sukoon De Wo Aawaj Hai Tu,
Yun To Suna Hai Sangeet Bahut Maine,
Sargam Se Bhi Khanakati Koyal Ki Aawaz Hai Tu,
Tu Na Jane Ki Kaun Hai Tu,

Mai Na Jaanu Ki Kaun Hai Tu,
Mai Tuzme Tu Muzme Samaaye Is Tarah,
Ke Mai Jism Tu Jaan Par Itna Bhi Na Jane Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Chandani Raat Ke Jazbaat Hai Tu,
Hai Dhero Rang Is Jahaan Me Magar,
Hatho Me Lagi Mehndi Ka Rang Hai Tu
Tu Jane Ki Kaun Hai Tu,

Khwabo Me Jo Aaye Wo Tajmahal Hai Tu,
Likhe To Reit Pe lLkho Haseen Naam
Maine,
Mera Dil Jo Dhadkaye Wahi Naam Hai Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Savere Ki Pehli Kiran Ka Naam Hai Tu,
Chah-Chahati Hai Jab Chidiya Ujale Me,
Us Madhur Aawaz Ka Ehsaas Hai Tu
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu...

Tere Liye Ek Khwab Likh Raha Hu

Tere Liye Ek Khwab Likh Raha Hu,
Kabhi Na Tutne Wali Aas Likh Raha Hu,
Zindagi Khud Tuze Aakar Kahe,
Mere Gale Lag Ja Tere Liye Kuch Aisi Farmaish Likh Raha Hu...



Sukun Mil Gaya Dil Ko Badnaam Ho Kar,
Har Ilzam Pe Bezubaan Ho Kar,
Log Padh Lenge Teri Aankho
Me Mohabbat Meri,
Tu Laakh Inkaar Karle Anjan Ho kar...

Hindi Sms

Utha Ke Haath KHUDA Se Bas Maangi Yahi
Dua
,

"Nasib Ho Khushiyan Tumhe
Tum Khush Raho Sada"

Tum Ko Rahat Mile Tum Ko Chahat Mile

Tumhe Saare Jahan Ki Mohabat Mile

Jahan Me Sab Se Ho AChCha Tumhara
Nasib


Koi Dukh Kabhi Na Aaye Tumhare Qarib
Dil Ki Har Arzu Puri Khuda Kare


Tumhain Chahane Walon Se Kabhi Bhi Na
Juda Kare


Mil Jaye Tum Ko Tumhari Khushian Bas Yehi Dua Hai Humari Tumhare Liye...
Aameen...
Main Khwabon Ki Duniya Se Aaya
Ek Insan Hu,
Main Rehta Hu Is Dharti Pe,
Par Khwab Aasmaan Ke Hi Dekhta Hu,
Main Khush Hota Hu Tab,
Jab Sab Khush Hote Hai,
Main Rota Hu Tab,
Jab Kisi Ke Aankh Me Aansu Hote Hai,
Main Sabke Chehre Par Muskurahat Lana Chahta Hu,
Khud Ko Bhulakar Main,
Sabke Sath Muskurana Chahta hu,
Har Dard Har Gamm Ko,
Main Mita Dena Chahta Hu,
Har Kisi Ki Zindagi Me Main,
Sukh Ka Sagar Lana Chahta Hu,
Shayad Hu Main Is
Duniya Se Anjaan,
Par Phir Bhi
Kahin-Na-Kahin Hu Main Apno Ki Jaan...