Showing posts with label Hindi Shayari. Show all posts
Showing posts with label Hindi Shayari. Show all posts

Valentine Day Hindi, Marathi And English Sms Collection

Love isn't a decision, it's a feeling.
If we could decide who to love,
then, life would be much simpler,
but then less magical.


Kabhi Ajnabee Se Milay The,
Fir Yhonhi Miltay Chale Gaye,
Hun To Aapko Dost Bananewale The
Magar
Aap To Hamare Dil Ki Dhadkan
Banthe Chale Gaye.
Happy Valentine's Day….
Jab samne hote ho tum ..
Na jane kyo hosh kho baith the hai
hum..
Milti hai nazar jab jab tumse..
Sab kuc bhul jate hai hum..
Hoti hai tu itne kareeb..
Phir bhi dil ki baat kehne se ruk
jate hum…
दाटून आलेल्या संध्याकाळी,
अवचित ऊन पडतं.....
तसंच काहीसं पाऊल न वाजवता,
आपल्या आयुष्यात प्रेम येतं !
Happy Valentine's Day!
पाहशील जिथे जिथे नजर उचलून...
मीच असेल उभा ओठांवर स्मित
घेऊन :)
आलेत कधी जर तुझ्या डोळ्यात दुखांचे
अश्रू....
तुला सुखाचे आनंदाश्रू तिथे तिथे
देऊन.......!!!
Happy Valentine's Day!
डोळ्यातल्या स्वप्नाला...
कधी प्रत्यक्षातही आण !
किती प्रेम करतो तुझ्यावर,
हे न सांगताही जाण !!! :-)
Happy Valentine's Day!!!

Jan Ke Anjaan Ban’na Achcha Lagta Hai

Jan Ke Anjaan Ban'na Achcha Lagta Hai,
Uss Ko Apne Liye Pareshan Karna Achcha Lagta Hai,
Wo Karty Rahe Pyar Ka Iqraar Bar-Bar,
Mujh Ko Naadan BanKar Sun'na Achcha Lagta Hai!!!

Aa Teri Umar Mai Likh Du

Aa Teri Umar Mai Likh Du Chand Sitarose,
Tera Janamdin Mai Manau Phulose Baharose,
Har Ek Khubsurti Duniya Se Mai Le Aau,
Sajaau Ye Mehfil Mai Har Haseen Nazarose...
Happy Birthday Dear

Wo Aisi Ho...



Na Wo Pari Ho Na Pari Jaisi Ho,
Muze Talash Hai Uski Jo Mere Jaisi Ho,

Mere Khaluoso Ko Pehchane Kafi Hai,
Wo Koi Bhi Ho, Kahi Bhi Ho, Kaisi Bhi Ho,

Jo Khwab Dene Bechain Ho Meri Aankho Ko,
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sakey Wo
Aisi Ho,

Meri Khatir Marne Ka Hausla Bhi Rakhti Ho,
Agar Kabhi Ruth Jau Mai Us Se To
Muskura Ke Manaye Wo Aisi Ho,

Jo Baat Kare To Wo Nibha Bhi Sake
Iraado Me Wo Apne Chahato Jaisi Ho,

Gamm Me Hansane Ka Hunar Janti Ho
Ek Aisi Humsafer Jo Samander Se Bhi Gehri Ho...

Tu Na Jane Ki Kaun Hai Tu




Phulo Ke Gulistaan Ka Sartaaj Hai Tu,
Honge Gulshan Me Gul Hazaar
In Gulo Ka Gulaab Hai Tu,
Tu Na Jane Ki Kaun Hai Tu,

Sangeet Jaisi Aawaz Ka Sur-taal Hai Tu,
Hoti Hai Jab Amaawas Ki Raat To,
Ugte Huye Suraj Ka Ehsaas Hai Tu,
Tu Na Jane Kaun Hai Tu,

Udasi Bhare Chehro Ki Mushkan Hai Tu,
Hote Hai Jab Gamm Ke Badal Aasman Me
Un Baadlo Ke Beech Se Nikalta Hua Chand Hai Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Oss Ki Bundo Jaisi Taazgi Ka Ehsaas Hai Tu,
Aati Hai Jab Mere Hoto Pe Udasi Ki Aahat,
Hasta Hu Fir Bhi Us Hasi Ka Raaz Hai Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Dhadkate Dilo Ki Bechaini Ka Naam Hai Tu,
Tanhai Me Jab Band Hoti Hai Palke Meri,
Behte Huye Ashko Ka Sailaab Hai Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Mahekti Hui Garm Saanso Ka Gumaan Hai Tu,
Tadapta Raha Pane Ki Chahat Me Jisko Umar Bhar,
Wo Reshmi Khwaabo Ka Gunahgaar Hai Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Dil Ko Jo Sukoon De Wo Aawaj Hai Tu,
Yun To Suna Hai Sangeet Bahut Maine,
Sargam Se Bhi Khanakati Koyal Ki Aawaz Hai Tu,
Tu Na Jane Ki Kaun Hai Tu,

Mai Na Jaanu Ki Kaun Hai Tu,
Mai Tuzme Tu Muzme Samaaye Is Tarah,
Ke Mai Jism Tu Jaan Par Itna Bhi Na Jane Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Chandani Raat Ke Jazbaat Hai Tu,
Hai Dhero Rang Is Jahaan Me Magar,
Hatho Me Lagi Mehndi Ka Rang Hai Tu
Tu Jane Ki Kaun Hai Tu,

Khwabo Me Jo Aaye Wo Tajmahal Hai Tu,
Likhe To Reit Pe lLkho Haseen Naam
Maine,
Mera Dil Jo Dhadkaye Wahi Naam Hai Tu,
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu,

Savere Ki Pehli Kiran Ka Naam Hai Tu,
Chah-Chahati Hai Jab Chidiya Ujale Me,
Us Madhur Aawaz Ka Ehsaas Hai Tu
Tu Na Jaane Ki Kaun Hai Tu...

Tere Liye Ek Khwab Likh Raha Hu

Tere Liye Ek Khwab Likh Raha Hu,
Kabhi Na Tutne Wali Aas Likh Raha Hu,
Zindagi Khud Tuze Aakar Kahe,
Mere Gale Lag Ja Tere Liye Kuch Aisi Farmaish Likh Raha Hu...



Sukun Mil Gaya Dil Ko Badnaam Ho Kar,
Har Ilzam Pe Bezubaan Ho Kar,
Log Padh Lenge Teri Aankho
Me Mohabbat Meri,
Tu Laakh Inkaar Karle Anjan Ho kar...

Woh Bhi Kya Din The!



Woh Bhi Kya Din The!
Mummy Ki Godh Aur Papa Ke Kandhe
Na Kal Ki Chinta Na Future Ke Sapne
Ab Kal Ki Hai Fikar Aur Adhure Hai Sapne
Mud Kar Dekha To Bahut Door Hai Apne
Manzilo Ko Dhundte Kaha Kho Gaye Hum
Aisa Lagta Hai Kyu Itne Bade Hogaye Hum...



Zindagi Jaise Ek Saza Si Hogayi Hai
Gamm Ke Sagar Me Is Qadar Kho Gayi Hai
Tum Aajao Wapis Yeh Guzaarish Hai Meri
Muze Shayad Tumhari Aadat Si Hogayi hai...



Na Koi Pal Subha Hai Na Koi Pal Sham Hai
Har Pal Har Lamha Aapki DOSTI Ka Naam Hai
Ise Sirf Ek SMS Na Samazna Ye Humari
Pyari Si Dosti Ka Salam Hai...



Dard Ka Ehsas Janana Hai To Pyar Kar Ke Dekho
Apni Aankho Me Kisi Ko Utar Kar Dekho
Chot Un Ko Lagegi Aansoo Tumhe Aa Jayenge
Ye Ehsas JanAna Ho To Dil Haar Kar Dekho...



Humne Pyar Kiya Jo Hum Anjan The
Unki Aadat Unki Fitrat Se Anjan The
Aaj Waqt Ne Hume Bewafa Bana Diya Yaaro
Warna Hum Bhi Kisi Mehfil Ki Shaan The...



Chand Par Kali Ghata Chati To hogi,

Sitaro Ko Muskurahat Aati To Hogi,

Tum Lakh Chupao Duniya Se Magar,

Akele Me Tumhe Humari Yaad Aati To
Hogi....
Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye,
Kisi Ki Hansi Kisi Ki Muskan Ban Jaye, Bepanah Pyar Kehte hai Isi Ko,
Jab Kisi Ki Sanse Kisi Ki Jaan Ban Jaye...
Ek Sachcha Dil Sabke Pas Hota Hai,

Kyun Sab Pe Viswas Nahi Hota Hai,

Insaan Chahe Kitna Bhi Simple Ho,

Wo Kisi Na Kisi Ke Liye Zarur Khas hota Hai...
Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle,
Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikale,
Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha,
To Uske Hothon Se,
Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle…


Zindagi Ek Saza si Ho Gayi Hai,
Gamm Ke Saaye Mein Is Kadar Khogayi Hai,
Tum Kar Do Ek SMS ye Guzarish Hai Meri,
Tumhare SMS ki
Aadat si Ho Gayi Hai…


Humara Har Lamha Chura Liya Aapne,
Aankhon ko Ek Chand Dikha Diya
Aapne,
Hume Zindagi To Di Kisi Aur Ne,
Par Pyaar Itna Dekar Jeena Sikha Diya Aapne...


Tujhe Bhulkar Bhi Na Bhul Payenge Hum,
Bas Yahi Ek Waada Nibha Payenge Hum,
Mita Denge Khud Ko Bhi Jahan Se Lekin,
Tera Naam Dil Se Na Mita Payenge Hum...


Mana Ki Kabhi Dil Ki Baat Na Bataoge,
Par Aankhon Me Jo Hai Wo Kaise Chupaoge,
Wada Raha Humara Ye Aapse,
Jab Bhi MOBILE
Dekhonge Humara Ek SMS Jarur paoge...


Tum mujhe kabhi dil
kabhi aakhon se pukaro,
Ye hothon ke taqaluf to
zamane Ke Liye Hai...
Aankho me arman diya
karate hai,
Hum sabki Neend Chura liya
karate hai,
Ab jab jab aapki palke
Zukengi,
Samaj lena hum aapko yaad
kiya karate hai...


Kaash wo nagme hume
sunaye na hote,
aaj unko sunkar ye aansu
na aaye hote,
agar is tarah bhul jaana hi
tha,
to itni gehrai se dil me
samaaye na hote...


Iss dil ko kisi ki aahat ki aas
rehti hai,
Nigah ko kisi surat ki
pyas rehti hai,
Tere bina zindagi me kami
to nahi,
Phir bhi tere bina zindagi
udaas si rehti hai...


Unki tasveer ko seene se
laga lete hai,
Iss tarah judai ka gamm mita
lete hain,
Kisi tarah zikar ho jaye
unka,
To hanss kar bheegi palke
jhuka lete hai...


Jalan suraj se hoti hai,
Jalana Zameen ko padhta
hai,
Mohabbat Aankho se hoti hai,
Tadpana dil ko padta hai...


Tanhai jab muqaddar mein
likhi hai,
To kya shikayat apno aur
begano se,
Hum mit gaye jin ki chahat
me,
Woh baaz nahin aate
hume aazmaney se...


Lamha Lamha ye waqt gujar
jayega
Bas khuch hi ghanto baad
naya saal ajayega
Isliye Abhi se naye saal ki
badhai lelo
Warna Bazi koi aur maar
jayega...


Mohabbat me maine kya
khuch nahi luta diya,
Mohabbat me maine kya
khuch nahi luta diya,
Unko pasand thi roshni,
Aur maine khud ko hi jala
diya...


Hathon ki lakiron me kismat
hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki
fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard
me,
Magar gam bhulana Insaan
ki jarurat hoti hai...