Hindi Poem


Yu To Chand Bhi Bhatakta Hai Raat Bhar
Mai Jo Bhatak Gaya To Kya Gunah Kiya? Saari Duniya Roti Hai Chup Chup Kar
Mai Jo Thoda Ro liya to Kya Gunah Kiya? Har Kisi Ko Talab Hai Pyar Ki
Maine Thoda Soch liya To Kya Gunah Kiya? Roshni Ki Chah To Sab Ko Hai
Maine Thoda Andhera Mang Liya To
kya Gunah Kiya? Zindagi Ke Is Haseen Khwab Me
Maine Use Mang Liya To Kya Gunah Kiya? Har Kisi Ne Mehfil Ko Chaha Yaha
Maine Tanhai Ko Chaha To Kya Gunah
Kiya?
Yu To Chand Bhi Bhatakta Hai Raat Bhar
Mai Jo Bhatak Gaya To Kya Gunah Kiya?

Hindi Poem


Khusbuon Ki Taraha Meri Har Saans Me Pyar Apna Basane Ka Waada Karo,

Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai
Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo...

Hai Tumhari Wafaaon Pe Muzko Yaqeen,
Phir Bhi Dil Chahata Hai Mere Dil Nasheen
Yunhi Meri Tassali Ki Khatir Zara
Muzko Apna Banane Ka Waada Karo...

Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum
To Dharkano Me Naye Rang Bharte Ho Tum,
Bana Chuke Ho Magar Aaj Phir
Muzko Apna Banane Ka Waada Karo,
Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahi Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai
Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam
Tum Mujhko Na Bhulane Ka Waada Karo...