Aankho me arman diya
karate hai,
Hum sabki Neend Chura liya
karate hai,
Ab jab jab aapki palke
Zukengi,
Samaj lena hum aapko yaad
kiya karate hai...


Kaash wo nagme hume
sunaye na hote,
aaj unko sunkar ye aansu
na aaye hote,
agar is tarah bhul jaana hi
tha,
to itni gehrai se dil me
samaaye na hote...


Iss dil ko kisi ki aahat ki aas
rehti hai,
Nigah ko kisi surat ki
pyas rehti hai,
Tere bina zindagi me kami
to nahi,
Phir bhi tere bina zindagi
udaas si rehti hai...


Unki tasveer ko seene se
laga lete hai,
Iss tarah judai ka gamm mita
lete hain,
Kisi tarah zikar ho jaye
unka,
To hanss kar bheegi palke
jhuka lete hai...


Jalan suraj se hoti hai,
Jalana Zameen ko padhta
hai,
Mohabbat Aankho se hoti hai,
Tadpana dil ko padta hai...


Tanhai jab muqaddar mein
likhi hai,
To kya shikayat apno aur
begano se,
Hum mit gaye jin ki chahat
me,
Woh baaz nahin aate
hume aazmaney se...


Lamha Lamha ye waqt gujar
jayega
Bas khuch hi ghanto baad
naya saal ajayega
Isliye Abhi se naye saal ki
badhai lelo
Warna Bazi koi aur maar
jayega...


Mohabbat me maine kya
khuch nahi luta diya,
Mohabbat me maine kya
khuch nahi luta diya,
Unko pasand thi roshni,
Aur maine khud ko hi jala
diya...


Hathon ki lakiron me kismat
hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki
fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard
me,
Magar gam bhulana Insaan
ki jarurat hoti hai...

No comments: