Kanto Me Phulonko Khilte Huye Dekha hai,
Tufano Me Kashtiyonko Sambhalte Huye Dekha Hai,
Andhero Ko Ujalon Me Dhalte Huye Dekha Hai,
Humne Waqt Ke Saath Logo Ko Badalte Huye Dekha Hai,
Kanto Me Phulonko Khilte Huye Dekha Hai,


Jab Jab Bhi Aaye Kisiki yaad, Jiske Bina Dil Rehatatha Hardam Udas,
Jab Wo Aakar Mila Bahot Dino Ke Baad, Tab Aasuonko Bhi Khushiyo Me Badalte Huye Dekha hai,
Kanto Me Phulonko Khilte Huye Dekha Hai,


Apne Haq Ke Liye Baar Baar Insano Ko Ladate Huye Dekha Hai,
Humne Kayi Achche Logonko Buri Sangat Me Padte Huye Dekha Hai,
Kanto Me Phulonko Khilte Huye Dekha Hai,


Budhe Lachar Maa Baap Se Jawan Bete Aur Bahu Ko, Zagadte Huye Dekha Hai,
Banate Bante Kaam Ko Kayi Baar Bigadate Huye Dekha Hai,
Kanto Me Phulonko Khilte Huye Dekha Hai,


Humne Kayi Baar Apne Matalab Ke Liye, Khun Ke Rishton Ko Bhi Tutate Huye Dekha Hai,
Apni Jeb Bharne Ke Liye Dusro Ko Lootate Huye Dekha Hai, Aur Pakade Jane Par Choro-Jebkataronko Marte Dumtak Pitate Huye Dekha Hai,
Apne Hi Desh Ke Logonko Dharm Aur Jati Ke Naam Pe Batate Huye Dekha Hai,
Kanto Me Phulonko Khilte Huye Dekha Hai,


BHARAT DESH Hai Humara, Jag Me hHi Sabse Pyara, Jab Jab Bhi Kabhi Ispar Aanch Aayee Kisiki,
Tab Tab Desh Ke Shur-Veer Jawano Ko, Matrubhumi Ki Raksha Me Amar Hote Huye Dekha Hai....

No comments: