The legendary Indian actor Rajesh Khanna is no more.
So As Tribute to him, here are some of the dialogues from movies that will keep Rajesh Khanna around forever:-
"Are O Babu Moshay!
Zindagi Aur Maut Upar Wale Ki Hath Me Hai Jahanpanah!
Islo Aap Badal Sakte Hai Na Mai !
Hum To Rangmanch Ki Kathputliya Hai, Jiski Dor Upar Wale Ke Haath Me Hai! Kab KaunKaise Uthega Ye Koi Nahi Bata Sakta!"
– Anand
"Aaj Mai Hoon Jahan, Kal Koi Aur
Tha, Yeh Bhi Ek Daur Hai, Woh
Bhi Ek Daur Tha..."
"Main derr se aata nahi hu lekin kya karu, der ho jaati hai. Isliye maafi ka haqdar hu, agar phir bhi kisine na maaf kiya ho toh main yahi kehna chahta hoon, Humko maafi dedo saahib"
- Ram Balram
"Mai marne se pehle marna nahin chahta"
-Safar
"Yeh toh main hi jaanta hoon ki zindagi ke aakhri mod par kitna andhera hai"
- Safar
"Kisi badi khushi ke intezaar me... hum yeh chote chote khushiyoon ke mauke kho dete hai"
- Bawarchi
"Yeh lo, phir tumhari aankho me paani! Maine tumse kitni baar kahan hai, Pushpa ki mujhse ye aansu dekhe nahi jaate. I hate tears."
- Amar Prem
"Iss ek glaas me ek majdoor ki ek mahine ki roti hai aur parivaar ki saans. Kabhi socha hai ki iss ek glass ko pite hi hum ek parivaar ko bhooka maar dete hai"
- Namak Haram
"Maine Maut ko dekha to nahi par shayad woh bahut Khubsurat hogi. Kambakht jo bhi usse milta hain, Jeena chod deta hain."
"Anand mara nahi. Anand marte nahi"
- Anand
2 comments:
very nice quotes...thnaks for sharing!
Free Fun for all
Post a Comment